Shamshad:
chhod baabul ka ghar,
mohe pi ke nagar
aaj jaana pada
o
aaj jaana pada
Chorus:
chhod baabul ka ghar,
mohe pi ke nagar
aaj jaana pada
Shamshad:
sang sakhiyon ke bachapan bitaati thi main
Chorus: haan bitaati thi main
Shamshad:
byaah gudiyon ka hans-hans rachaati thi main
Chorus: haan rachaati thi main
Shamshad:
sab se munh mod kar, kya bataaun kidhar
dil lagaana pada
o...o...ooo
aaj jaana pada
Chorus: chhod baabul ka ghar, mohe pi ke nagar
aaj jaana pada
Shamshad:
yaad mayake ki mann se bhulaaye chali
Chorus: haan bhulaaye chali
Shamshad:
preet saajan ki man men basaaye chali
Chorus: haan basaaye chali
Shamshad:
yaad kar ke ye ghar, roeen aankhen magar
muskuraana pada
o..o..oo...o
aaj jaana pada
Chorus:( chhod baabul ka ghar, mohe pi ke nagar
aaj jaanaa pada ) -2
Shamshad:
chhod baabul ka ghar, mohe pi ke nagar
aaj jaana pada
o..oo..ooo
aaj jaana pada
Chorus: chhod baabul ka ghar, mohe pi ke nagar
aaj jaana pada
Shamshad:
pahan ulafat ka gahana dulhan main bani
dolaa aaya piya ka sakhi main chali
ye tha jhootha nagar, is liye chhod kar,
mohe jaana pada
o..oo...ooo
aaj jaanaa pada