Mukesh:
chhod gaye baalam, mujhe haaye akela chhod gaye
tod gaye baalam, mera pyaar bhara dil tod gaye,
chhod gaye baalam, mujhe haaye akela chhod gaye,
Lata:
chhoot gaya baalam, haaye saath hamaara chhoot gaya
toot gaya baalam, mera pyaar bhara dil toot gaya
phool sang muskaaye kaliyaan main kaise muskaau,
baadal dekh ke bhar aayi ankhiyan - 2
chham chham neer bahaaun, main chham chham neer bahaaun,
chhoot gaya baalam, haaye saath hamaara chhoot gaya
toot gaya baalam, mera pyaar bhara dil toot gaya
Mukesh:
dil ki lagi ko kya koi jaane, main jaanu dil jaane
palkon ki chhaaya men naache - 2
dard bhare afsaane, haaye dard bhare afsaane
chhod gaye baalam, mujhe haaye akela chhod gaye
tod gaye baalam, mera pyaar bhara dil tod gaye
Lata:
pahele mann men aag lagi, aur phir barsi barsaat,
aisi chali birhaa ki aandhi-(2)
tadapat hun din raat, haaye mein tadapat hun din raat
chhoot gaya baalam, haaye saath hamaara chhoot gaya