Lata: dar laage duniya se balama ho, ulfat na bane afasaana -2
Talat: gham kyun ho -2
tere saath saath, tera deewana, tu deepak mein hun parwaana
Lata: dar laage duniya se balama ho, ulfat na bane afasaana
Lata: O.. O.. O.. Mujhe kar de na koi tujhse juda, darati hoon bahut duniyaa se
Talat: ho..o..o..o kab hoti hai dil se dhadkan juda, kab naghma juda beena se
Lata:dil bole, sun bhole sajana ho, duniya ko nahin samajaana
Talat: gham kyun ho -2
tere saath saath, tera deewana, tu deepak mein hun parwaana
Lata: dar laage duniya se balama ho, ulfat na bane afasaana
Talat: ho..o..o..o aaja sapnon mein jeevan yun chhod den, bahe jaise nadi mein paani
Lata: O.. O.. O.. Meri himmat badhaayen rehna, sajan nadiyaa hai badi toofaani
Talat: toofaan se, ghabhara mat jaana, ho yun hi ulfat ki naav chalaana
Lata: sun balama, sun balama,
chale saath saath,chaahe mar jaana, hamen ab to hai pyaar nibhaana
Talat: gham kyun ho -2
tere saath saath, tera deewana, tu deepak mein hun parwaana
Lata: dar laage duniya se balama ho, ulfat na bane afasaana