laharon pe lahar, ulfat hai javaan
raaton ki sahar, chali aao yahaan
sitaare tim-timaate hain, tu aaja aaja
machalati ja rahi hai ye havaaen aaja aaja
laharon pe lahar, ulfat hai javaan............
sulagati chaandani men tham rahi hai tujh pe nazar
qadam ye kis taraf badhate chale jaate hain bekhabar
zamaane ko hai bhoole ham, ajab si khwaab ye safar
laharon pe lahar, ulfat hai javaan............
na jaane kaunasi raahen hamaara kaun sa hai jahaan
sahaare kis ke ham dhoondhe, hamaari manzil hai kahaan
sada dil ki magar kahati hai meri duniya hai yahaan
laharon pe lahar, ulfat hai javaan............
******************************************