Lata: jahaan main jaati hun vahin chale aate ho
chori chori mere dil men samaate ho
ye to bataao ki tum mere kaun ho
MD: dil se dil ki lagan ki ye baat hai
pyaar ki raah jatan ki ye baat hai
mujhase na puchho ki tum mere kaun ho
Lata: o, main to shor machaaungi, shor machaungi
karani tumhaari sab ko bataaungi
khair jo chaaho, chale jaao mere dar se
chhodo ye aana jaana dil ki dagar se
ye to bataao ki tum mere kaun ho..........
MD: o, main ne kya bura kiya hai, kya bura kiya hai
dil de kar hi dil le liya hai
kisi bade gyaani-dhyaani ko bulaao
abhi-abhi yahin faisala karaao
mujhase na puchho ki tum mere kaun ho.......
Lata: o, dil hi jab hue deewaane, jab hue deewaane
MD: kahana hamaara ab kaun maane
Lata: jahaan main jaati hun vahin chale aate ho
chori chori mere dil men samaate ho
ye to bataao ki tum mere kaun ho
MD: dil se dil ki lagan ki ye baat hai
pyaar ki raah jatan ki ye baat hai
mujhase na puchho ki tum mere kaun ho........