Aaja Kar Le Muqaabila Ye Baazi Pyaar Ki song lyrics
-----------------------------------------------------------
Rafi: aaja kar le muqaabila ye baazi pyaar ki
ho jaae faisala ye baazi pyaar ki
Geeta: kahati hun maan ja ai naadaan maan ja
ulfat ke khelon men khatara hai jaan ka
Rafi: aaja kar le muqaabila......
Geeta: chaal meri mastaani, har qadam mera toofaani
Rafi: vahaan bhi dil vaalon ne mar mitane ki thaani
Geeta: achchha to hoshiyaar ai naadaan hoshiyaar
aaja phir jhum ke mere bhole shikaar
Rafi: aaja kar le muqaabila..........
Rafi: roop mila hai maana par josh na khaao itana
Geeta: baat karo mat badhake dekhenge jigar hai kitana
Rafi: tan kar jo aaoge dekho pachhataaoge
kal se is raah se katara ke jaaoge
Rafi: aaja kar le muqaabila.....
-----------------------------------------------------------