H: ye hansata hua kaaravaan, zindagi ka na poochho chala hai kidhar
tamanna hai ye, saath chalate rahen, ham na beete kabhi ye safar
ye hansata hua kaaravaan, zindagi ka na poochho chala hai kidhar
A: haan~~nn~~
H: tamanna hai ye, saath chalate rahen, ham na beete kabhi ye safar
A: vaah! vaah!
H: hmmm hmm hmm hmm....hmmm..hmm...
H: zamin se sitaaron ki duniya men jaayen
A: haan... haan...!
H: vahaan bhi yahi geet, ulfat ke gaayen
A: achchhaa
H: zamin se sitaaron ki duniya men jaayen
vahaan bhi yahi geet, ulfat ke gaayen
muhabbat ki duniya ho gham se begaana
rahe na kisi ka bhi dar
A: aji dar kaisa
H: ye hansataa hua kaaravaan zindagi ka na poochho chala hai kidhar
tamanna hai ye saath chalate rahen, ham na beete kabhi ye safar
A: chaliye
H: bahaaron ke din ho javaan ho nazaare
A: aha ha ha !
H: hasin chaandani ho nadi ke kinare
A: kya baat hai
H: bahaaron ke din ho javaan ho nazaare
hasin chaandani ho, nadi ke kinare
na aaye jahaan bhool kar bad-nasibi
banaaye vahin apana ghar
A: na na na...!
H: ye hansata hua kaaravaan, zindagi ka na poochho chala hai kidhar
tamanna hai ye saath chalate rahen, ham na beete kabhi ye safar