Shamshad: main jaan tujhe gai saiyaan
hat chhod de meri baiyaan
matalab ke yaar, diya mujh ko maar
ab kaahe padat mori paiyaan
main jaan gai tujhe..................
Rafi: tu mast ghataa main baadal
tu aankh hai main hun kaajal
tu saans main teri khushbu
tere pyaar ne kar diya paagal
Shamshad: main jaan gai tujhe.............
Rafi: tu chaand kahe to laa dun
taaron se maang saja dun
hai pyaar mujhe bhi kitana
main chir ke dil dikhala dun
Shamshad: main jaan gai tujhe...............
Rafi: tere gaal pe jo bhi til hai
mera pyaar bhara vo dil hai
main raahi hun matavaala
tu pyaar bhari manzil hai