ApunKaChoice : Bollywood
  Set as Homepage | Add to favorites

Music > Jaani Dushman > Chalo Re Doli

Jaani Dushman ( Hindi Film Songs )



Chalo Re Doli song lyrics

chalo re dolii uThaao kahaar
piiyaa milan kii rut aaii
pii kii nagarii le jaao kahaar
piiyaa milan kii rut aaii
jin nainon kii tuu hai jyotii
un nainon se barase motii
daavaa nahiin hai koii zor nahiin hai
beTii sadaa hii paraaii hotii
jaldii naihar se le jaao, kahaar
piiyaa milan kii rut aaii
chhaaii hai dekho hariyaalii
aaii hai rut khushiyon vaalii
har aashaa parvaan chadhii
din hai dasaharaa raat diivaalii
gale daal baahon kaa haar, kahaar
piiyaa milan kii rut aaii
tan maike man terii nagariyaa
ud jaauun main banake badariyaa
chaand nagar ko chalii chakorii
pyaasii huun milan kii saanvariyaa
mere sapane sajaao, kahaar
piiyaa milan kii rut aaii
suunii padii bhaiyaa kii havelii
vyaakul bahanaa rah gaii akelii
jin sang naachii jin sang khelii
chhuuT ga_ii vo sakhii sahelii
ab na derii lagaao, kahaar
piiyaa milan kii rut aaii

Other songs of the movie Jaani Dushman



CRICKET ZONE
Live Cricket Coverage

More Movie Song Lyrics

Mere Saath Chalte Chalte

Ashqon Se Teri Ham Ne Tasvir

Chalka Chalka

Thandi Thandi Chale Re Havaa

Kahin Na Kahin

Thodi Der Ke Liye

Aaye Aao Taare Aasmaan

Meri Tarah Tum Bhi

Do Bichhade Hue Dil

Main Teri Dushman Dushman