shamshad : roop ki dushman paapi duniya maare mohe akhiyaan
ho main kya jaanoo raam
main kya jaanoo raam, kisi ke lobhi man ki batiyaan
( maare akhiyaan
chorus: pachaaka chika chhum ) -2
shamshad : ek roop ke laakh pujaaree, gore kaale halake bhaari
kisi ko kya maaloom ladi hai kis baalam se aankh hamaari
ladi hai kis baalam se aankh
Male Voice:e ji hamase
shamshad : nahi nahi nahi nahi, aji in se
lambi naak hai in ki, aankhon pe chashma sawaar hai
Male Voice:ka hamase
shamshad : are nahi nahi nahi nahi, aji in se
sookhe gaal hain in ke, soorat bhi kaala bukhaar hai
soorat bhi kaala bukhaar hai
Male Voice: o ji gori hamase, oh ho
shamshad : are chhi chhi chhi
main kya jaanoo raam kisi ke lobhi man ki batiyaan
maare akhiyaan
chorus: pachaaka chika chhum
shamshad : maare akhiyaan
roop ki dushman paapi duniya maare mohe akhiyaan
ho main kya jaanoo raam
shabnam : chhail-chhabiila hai baanka baalam ho
bani hoon main jin ki deewaani
piya hi jaane bhed jiya ka
kis ko sunaauun pyaar ki baani, kis ko sunaauun main
Male Voice:aji ham ko
shamshad : nahi nahi nahi nahi, aji un ko
bhengi aankh hai jin ki, moochhon par chhaai bahaar hai
Male Voice: ka ham ko
shamshad : are nahi nahi nahi nahi are un ko
mukhada chaand hai jin ka, nainon mein jin ke khumaar hai
nainon mein jin ke khumaar hai
Male Voice:kaun wo sipahiya aur ham
shamshad : are ja ja ja
main kya jaanoo, raam kisi ke lobhi man ki batiyaan
maare akhiyaan
chorus: pachaaka chika chhum
shamshad : maare akhiyaan
roop ki dushman paapi duniya maare mohe akhiyaan
ho main kya jaanoo raam