jin aankhon ki neend haraam hui
un aankhon ka haal wo kya jaane ) -2
( kyun palakon ko ashqon se pyaar hua
kyun jeena bawaal wo kya jaane ) -2
( kyun kaanpate honthon pe kuchh bhi nahin
kyun dil men tamanna hai sahami hui ) -2
ho~ o~ o~
aa-aa ke sataata rahata hai
( aa-aa ke sataata rahata hai
kyun un ka Khayaal wo kya jaane ) -2
jin aankhon ki neend haraam hui
un aankhon ka haal wo kya jaane
( din chain se jin ke guzarate hon
aur raaten ho jin ki neend bhari ) -2
ik pyaar ke maare huye dil ka
( ik pyaar ke maare huye dil ka
behaal sa haal wo kya jaane ) -2
jin aankhon ki neend haraam hui
un aankhon ka haal wo kya jaane