aaj ki raat saaz-e-dil-e-puradard na chhed
aaj ki raat.................
kaul ulafat ka jo hanste hue taaron ne suna
band kaliyon ne suna, mast bahaaron ne suna
sab se chhup kar jise, do prem ke maaron ne suna
khwaab ki baat samajh, us ko haqiqat na bana
aaj ki raat....................
ab hain aramaanon pe chhaae hue baadal kaale
phoot kar rasane lage hain mere dil ke chhaale
aankh bhar aai, chhalakane ko hain ab ye pyaale
muskaraaenge mere haal pe duniyaavaale
aaj ki raat..............
be-bason par ye sitam khoob zamaane ne kiya
khel khela tha muhabbat ka adhura hi raha
haae taqdeer ke, taqadeer se pura na hua
aise aani thi judaai, mujhe maalum na tha
aaj ki raat.................