Music > Kala Bazar > Yeh paisa bolta hai
Yeh paisa bolta hai song lyrics
than than ki suno jhankar
yeh duniya hai kala bazaar
yeh paisa bolta hai - 2
main gol hun duniya gol - 2
jo bolu khol du sab ki pol
yeh paisa bolta hai - 4
rang gora ho ya kala ho
jag uska jo paisa wala ho
ghapale se mile ya rishwat se
banta hai mukaddar daulat se
saccha hai yahan kangal
to beimaan hai malamal
yeh paisa bolta hai - 4
bhagwan ke ghar bhi khot chale
puja ke liye bhi note chale
jo chahe karwalo dhan se
har kam bane donation se
milta hai us hi ko vote
dikhaye jo voter ko note
yeh paisa bolta hai - 4
paiso pe agar main marta hun
batlao bura kya karta hun
jab bajati hai shahnai dhan ki
tab uthti hai doli dulhan ki
main gangu teli ko du raj - 2
gadho ke sir pe rakh du taj
yeh paisa bolta hai - 4
than than ki suno jhankar
yeh duniya hai kala bazaar
yeh paisa bolta hai - 4
Other songs of the movie Kala Bazar
Apni To Har Aah Khoya Khoya Chand Na Main Dhan Chahoon Rim Jhim Ke Tarane Saanjh Dhali Sach Hue Sapne Tere
|
CRICKET ZONE Live Cricket Coverage
More Movie Song Lyrics
Tu Pyaar Ka Sagar
Kabhi Alvida Naa Kehna
Rootho Naa
Manzil Vahi Hai Pyaar Ki
Ban Gai Baat Baaton Mein Bus Do Char Mulaqaton Mein
Gori Tere Ang Ang Mein
Rooth Kar Hum
Saathi Haath Badhana
Ye Mausam Aaya Hai
Ye Aansu Mere Dil Ki Zubaan Hain
|
|