ApunKaChoice : Bollywood
  Set as Homepage | Add to favorites

Music > Kismat > Aao Huzoor Tumko

Kismat ( Hindi Film Songs )

Aankhon Mein Qayamat Ke


Aao Huzoor Tumko song lyrics

ham se raushan hain chaand aur taare
ham ko daaman samajhiye na Gairat kaa
uTh gaye ham gar zamaane se
naam miT jaayegaa muhabbat kaa
dil hai naazuk kalii se phuulon se
yah na TuuTe Kayaal rakhiyegaa
aur agar aap se yah TuuT gayaa
jaan-e-jaan itanaa hii samajhiiyegaa
[Male voice:] kyaa?
phir koii baanvarii muhabbat kii
apnii zulfen nahiin sanvaaregii
aaratii phir kisii kanhaiyaa kii
koii raadhaa nahiin utaaregii
aao huzuur tumako
aao huzuur tumako, sitaaron men le chaluun
dil jhuum jaae aisii, bahaaron men le chaluun
aao huzuur aao
(hamaraaz hamaKayaal to ho, hamanazar bano
tay hogaa zindagii kaa safar, hamasafar bano) 2
aa haa haa, o o, ho ho ho,
aa haa aa haa haa, o ho ho ## hic! ##
chaahat ke ujale-ujale nazaaron men le chaluun
dil jhuum jaae aisii, bahaaron men le chaluun
aao huzuur aao
likh do kitaab-e-dil pe koI, aisii daastaan
jisakii misaal de na sake, saaton aasamaan
aa haa haa, o o, ho ho ho,
aa haa aa haa haa, o ho ho
baahon men baahen Daale, hazaaron men le chaluun
dil jhuum jaaye aisii, bahaaron men le chaluun
aao huzuur aao

Other songs of the movie Kismat

Aankhon Mein Qayamat Ke

CRICKET ZONE
Live Cricket Coverage

More Movie Song Lyrics

Woh lamhe

Aasmaan waale Teri Duniya Se

Ishq Ki Garmi-E-Jazbaat Kise Pesh Karun

Koi Kahe Kehta Rahe

Minnat Kare

Yaaron Main Paagal Ho Gaya

Come on Come on

Tum mile pyaar se

Ai Shamma Tu Bata