yaad aai hai
bekasi chhaai hai
ro rahi hai khushi
aankh bhar aai hai
aansu bhi piye teri yaad men haradam
mar-mar ke jiye ab kis se kahen ham
haay kya ho gaya
wo kahaan kho gaya
dil mera so gaya
Yaad aai hain.............................
zaalim zamaane na itana sata
wo hain kahaan tu bata de pata
aas miti mera chain luta,
chain luta
mit gaya hai nishaan
lut gaya aashiyaan
maut ka hai samaan
yaad aai hain........................
toofaan men hai ulfat ka safina
khoya hai mere is dil ka nagina
pyaar to na hua
dard dur na hua
saath tu na hua
yaad aai hai
bekasi chhaai hai
ro rahi hai khushi
aankh bhar aai hai
****************************************