rafi : dil kii aawaaz men itana to asar ho jaaye
main idhar aah karun, un ko Khabar ho jaaye
lata : ankhiyaan mila ke zara baat karo ji
chori-chori yun na mulaaqaat karo ji
rafi : o~.a~.a~.a~ dil ke Khazaane koi aaya hai lutaane
aji din hain suhaane, chale aao na
lata : ban ke niraale bade aaye dilawaale
oji, oji bhole-bhaale, hato, jaao na
rafi : dil men samaake na ye ghaat karo ji
lata : chori-chori yun na...............
lata : o~.a~.a~ chhup ke na aao, jaao jaao na sataao
dhun pyaar ki na gaao paradesiyaan
rafi : dil mera gaaye tumhen bhaaye ke na bhaaye
aji hamane to dil haaye de diya
lata : batiya na aise din raat karo ji
chori-chori yun na..................