Shamshad:
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) -2
Lata:
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) -2
Both: ( muhabbat ke thaane me.n ) -2
ye dil thaanedaar hai
ye dil havaladaar hai
ye dil chaukidaar hai
pyaar ke jahaan ki...................
Lata:
anokhi kacheri hai ye
( anokha qaanoon hai ) -3
shamshad:
muhabbat ki arzi ka naya mazmoon hai -2
Both: aankhon ka daak khaana ho
aankhon ka daak khaana
nazaron ka taar hai ji, nazaron ka taar hai
muhabbat ke thaane men....................
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) -2
lata:
pyaar ke iskool men
( ik hi talaash hai ) -3
shamshad: laakhon ummeedvaar koi koi paas hai -2
Both: ( mushkil sabaq hai ye ) -2
par mazedaar hai ji, par mazedaar hai
muhabbat ke thaane men.........
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) -2
Lata: pyaar kiya jis ne vo
( pyaar hi men kho gaya ) -3
shamshad: itana samajh lo ke bekaar ho gaya -2
Both: ( us ke liye to ) -2
har din itavaar hai ji, har din itavaar hai
muhabbat ke thaane men..........
pyaar ke jahaan ki
( niraali sarakaar hai ) -2
( muhabbat ke thaane me.n ) -2
ye dil thaanedaar hai
ye dil havaladaar hai
ye dil chaukidaar hai
ye dil khabardaar hai