ApunKaChoice : Bollywood
  Set as Homepage | Add to favorites

Music > Seema > Jab Bhi Yeh Dil Udas Hota Hai

Seema ( Hindi Film Songs )



Jab Bhi Yeh Dil Udas Hota Hai song lyrics

Jab bhi yeh dil udaas hota hai
Jaane kaun aas paas hota hai

Hont chup chaap bolte ho jab
Saans kuch tez tez chalti ho
aankhen jab de rahi ho awaazein
thandi aanhon mein saans jalti ho
thandi aanhon mein saans jalti ho..
Jab bhi yeh dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai

Aankh mein tairti hain tasveerein
tera chehra tera khayal liye
aaine dekhta hai jab mujhko
ek masoom sa sawaal liye
ek masoom sa sawaal liye

Jab bhi yeh dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai..

Koyi vaada nahi kiya lekin
kyon tera intezaar rehta hai
bewajeh jab qarar mil jaaye
dil bada beqarar rehta hai
dil bada beqarar rehta haii

Jab bhi yeh dil udaas hota hai
jaane kaun aas paas hota hai...

Other songs of the movie Seema



CRICKET ZONE
Live Cricket Coverage

More Movie Song Lyrics

Laaga Chunari Men Daag

Yeh Sard

Tum Mujhe Yun Bhula

Jaadu Hai Nasha Hai

Pucho Na Yaar Kya Hua

Hey Shona

Vignharta Aarati

Mere Ghoongharwaale Baal

Kya Dilli Kya Jalandar

Tum To Pyar Ho