ham kis ko sunaayen haal
ye duniyaa paise ki -2
o nahin paas hamaare maal
ye duniyaa paise ki -2
kal hamaare paas bhi bangala tha motar-kaar thi
aaj hain sharanaarthi ham, aaj hain sharanaarthi
poochhe na koi haal
ye duniyaa paise ki -2
ham kis ko sunaayen haal
ye duniyaa paise ki -2
ham loote aise, hamaara aasara koi nahin
aaj duniyaa men gharibon ka khuda koi nahin
dekha duniyaa ka haal
ye duniyaa paise ki -2
ham kis ko sunaayen haal
ye duniyaa paise ki -2
kadar bas daulat ki hai, duniyaa ke is baazaar men
mandiron se "BANK" unche ban gaye sansaar men
ultee is jag ki chaal
ye duniyaa paise ki -2
ham kis ko sunaayen haal
ye duniyaa paise ki -2
kuchh to ai duniyaa ke maalik kar gharibon ka khayaal
bhej halawa, bhej puuri, bhej roti bhej daal
kab tak gaaye kangaal,
ye duniyaa paise ki -2
ye duniyaa paise ki