ApunKaChoice : Bollywood
  Set as Homepage | Add to favorites

Music > Swades > Yeh Tara Woh Tara

Swades ( Hindi Film Songs )

Aashista Aahista
Dekho Na
Pal Pal Hai Bhaari
Saawariya Saawariya
Yeh Jo Des Hai Tera
Yun Hi Chala Chala


Yeh Tara Woh Tara song lyrics

Udit:
Hey hey…hey hey hey…eh hey…eh hey
Oh ho ho ho ho ho ho… ho ho…ho ho ho…
Ye taara woh taara har taara -2
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara
(Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara) -2
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Un mein dekhi hai dhanak toh, bolo rang kitne hain
Saath rang kehne ko, phir bhi sang kitne hain
Samjho sabse pehele toh, rang hote akele toh
Indranush banta hi nahin
Ek na ham ho paaye toh, anyaay se ladne ko
Hogi koyi janta hi nahin
Phir na kehna nirbal hai kyun haara hmm…aara taara
Ye taara woh taara har taara -3
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Boond boond milne se, banta ek dariya hai
Boond boond saagar hai, warna ye saagar kya hai
Samjho is paheli ko, boond ho akeli toh
Ek boond jaise kuchh bhi nahin
Ham auron ko chhode toh, munh sabse hi mude toh
Tanha rehna jaaye dekho ham kahin
Kyun na bane milke ham dhaara hmm..aara taara

Vignesh:
Ye taara woh taara har taara -3
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara

Both:
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit:
Hey hey…hey hey hey…eh hey…eh hey
Oh ho ho ho ho ho oho… ho ho…ho ho ho…

Udit:
Jo kisaan hal sambhaale, dharti sona hi ugaaye
Jo gowaala gaiya paale, dudh ki nadi bahaaye
Jo lohaar loha dhhaale, har auzaar dhhal jaaye
Mitti jo kumbhaar uthhaale, mitti pyaala ban jaaye
Sab ye roop hai mehnat ke, kuchh karne ki chaahat ke
Kissi ka kissi se koyi bair nahin
Sab ke ek hi sapne hain, socho toh sab apne hain
Koyi bhi kissi se yahaan ghair nahin
Seedhi baat hai samjho yaara…hmm…aara taara

Baby Pooja:
Ye taara woh taara har taara -2

Vignesh:
Dekho jisse bhi lage pyaara
Ye taara woh taara har taara

Udit:
Ye sab saath mein jo hai raat mein
Toh jagmagaaya aasmaan saara

Baby Pooja:
Jagmag taare, do taare, lo taare sau taare
Jagmag saare, har taara hai sharaara

Udit & Kids:
Ye taara woh taara har taara -3

Kids:
Ye taara woh taara har taara

Udit:
(Dekho jisse bhi lage pyaara)

Other songs of the movie Swades

Aashista Aahista
Dekho Na
Pal Pal Hai Bhaari
Saawariya Saawariya
Yeh Jo Des Hai Tera
Yun Hi Chala Chala

CRICKET ZONE
Live Cricket Coverage

More Movie Song Lyrics

Tauba Tumhaare Yeh Ishaare

Amitabh Bachchan

Tadap Tadap Ho Tum

Jise Tu Na Mila

India Se

Khush Rahe Tu Sada

Koi Mane Ya Na Mane

Ulajh Gaya Jiya Mera

Sajati Hai Yun Hi Mahafil

Beimaan Mohabbat